Poetry By: SHAISTA NAZ MARIAM (GUJARKHAN)

Baar-e-karam-e-ilahee se, asmaan hai dekho jhuka hua
Mad hosh-e-hamdo sana hue, phool nazaray fizaa hawa,

Raanaai-e-fitrat, husn-o-jamaal, noor’rsh-shams o dil-o-nazar
Ye aks-e-Khuda hai chaaro taraf, aur noor-e-Muhammad Jagah jagah

La illaha illalah ka wird to saan main jaari hai,
Aur dil bhee gawahee daita hai Muhammad’dur-Rasoolalah

Ghair k agay mutt jhukna, na darna dunia walon se,
k sub Khuda k haath main hai, Teri qismat, zillat izzat, rizq, marg o hayaat aur saza jaza

Abhi jaan bhee hai, or waqat bhee hai, ay basher tu keun hai bhujha hua?
Mera Rub hai Ghafoor-o-Raheem bohat, dar-e-tobah bhee hai Khula hua

Go behr-e-heyaat main jagah jagah bhanwar-e-gunah mounh kholay khara.
Mujhay khaof kahan k Namaz hee meri kashti hai, aur na-khuda hai mera Khuda…

Aaghaaz-e-ishq se gham-e-hijr ka dharka hee raha hai..!!
Ghambeer sa ye masla to bus uljha hee raha hai..

Door talak thi phaili hui saawan ki ghataaen,
Meray qadmon kay neechay magar sehra hee raha hai..

Naseeb nahi hota uskay deedaar ka saahel,
Samandar meray peyar ka to gehraa hee raha hai..!

Youn to waqat k aoraaq pallat’tay hee rehay hain…
judaaee ka wo lamhaa magar tehraa hee raha hai

rooh o dil pe ho bandish , kahan jurat-e-zamaanaa ?
youn badan pe riwaajon ka to pehraa hee raha hai..

Uljhi hui hai zindagi or ajab saa haal hai,
Tootay hue se khawb hain or be-sabab kheyaal hai…

Naa tum milay, naa zindagi, naa rasasta, naa roshni,
Weeran see hai raah-guzar aur be-hangum see chaal hai..

Har qadam pe mushkilain, har tarf hain saazishain,
Kea yehi hai zingdagi? Yaa uljha hua sawal hai?

Saraab see hain manzilain, saraab see hai har khushi,
K har jagah aks-e-khushi liye khara malaal hee malaal hai

Meray hum-nafas bohat hua, abb aa b jaa,
K teray baghair zingdagi, azaab hai mohaal hai

Dil k fasaanay aaj tak kisi ghair se kehay nhi,
Ye ruswaaiyaan zarur kisi mehrubaan ki chaal hai.

Jeenay kaa saleeqa aa na saka
To ilm-o-hunar kis kaam k hain?

Ye sub dunyaawi batain hain,
Ye ilm-o-aqal bus naam k hain..

Tumhain kis ne kaha mayous hun hun main?
Muje tujh pe bharosa ajj bhee hai..

Ye khof-e-hijar ye yaas fikar..
Khadshaat dil-e-naakaam k hain..

Wiraan nazar, laa-chaar qadam,
Or zakhmi zakhmi rooh-o-badan,

Jo ishq main teray sehna para
Ye ghaao usi ilzaam k hain..


Zindagi main kabhi kabhi aisaa dor bhee ataa hai..
Manzail dhhoondtay dhoondtay raasta kho jata hai..

Roshni main bhatkaata hai, barsaat main taarsaata hai,
Naseeb bhee kabhi kabhi ajeeb roop dikhata hai.

Waqat se bara marhaam our kahan zamanay main?
Akhir ko to daagh-e-Dil waqat hee mitaata hai.

Aazmaaesh ki ye hud na-janay abb kahan pe tehray gee?
Main usko azmaati hun wo mujh ko azmaata hai.

Taleem baray baron ka na kuch bigaar pai,
Jeenay kaa saleeqa kahir.!! Waqat hee seekhata hai.


wo aks aankh se utar gea, wo yaad bhee dill se mit gei,
wo jo shabb thi us kay kheyaal ki, youn hi be-kheyaali main kut gei….!!

Meri zaaat us ke wajood main main kuch iss trha se kho gei,
Jesay chaand abbr ki goad main, jesay raat din main simat gei..

Main nay maana usay jawab’deh jahan zindagi ka sawaal tha,
Wo kea gea k zindagi hazaar sawaalon main butt gei..

Naa hee roka usko be-sabab, naa hee sung bani kabi raah ka,
Abhi qadam b uskay uthay naa thay, k main rah-guzar se hutt gei…

Kabi yaar peyaray bichar gaaey, kabi khawb saray bikhar gae.
Bus issi khail tamashay main ye zindagi bhee kutt gei..

Wo ikk shakhss….!!

Janay kon tha….!!
Kea tha wo????

Ikk khawb tha jo bikhar gea
Ikk dor tha jo guzar gea

Jo phail gea ikk zehr tha wo,
Ikk dard tha jo tehar gea…

Sub jalaa gea wo chiraagh tha
Ikk chaand tha jo utarr gea

Wo fareb tha ya gumaan tha
Meri hasraton ka jahan tha

Wo shakhss hai wajh-e-nidamat bhee
Wohi jiss pe muje maan tha

Meray aml-e-badd ki saza bhee tha
Wohi shakhs hasool-e-dua bhee tha

Wabastaa uski zaat se
Jo ta’aluk thay wo mitt gae

Abb chahtain bhee badal gein,
Wo jo raabtay thay kutt gae

Fraib thi sub nawazishain,Uski sub inayatain,
Wo haqooq-o-faraaez ki baat sub..
Wo ehd-o-pemaan wafa sabhi,
wo khshi ghami ka saath sub

wo jo aql-o-dil pe hijaab thay
wo jo nazar k jitney saraab thay,
sub hutt gaae,

kabi be-takkalaf hum bhee thay
kabhi hum bhee to yuk-jaan thay…
Hum Batt Gaae…!!!!!!!!!!!


Ye tamaash been saahel,
Ye lehrain ye hawaaen
Aaj khul k hans rehay hain
Meri be-bassi pe daikho

Inhee k samnay kall
Kashtiyaan jalaa kar
Dolti umeedon main thi..
Roshni utaari…

Meray iss azam pe dekho…!!
Meray iss qadam pe dekho…!!
Hasil hua to kea????
Faqat urti hui see raakh…

Hans rehay hain sub….
Meri wehshaton pe dekho..!!
Meri tanhaa musaafton pe
Meri hasraton pe daikho…!!

Raakh keh rehi hai
Meray kaan main ye aa kar…..!!
Ay jald-baaz larki !!!!!!
Tujhay kea milaa hai aakhir
Youn kashtiyaan jalaa kar?????


Chiraagh see meri zindagi, kabi jall uthi kabhi bhujj gei
Intaha meri zindagi, k ye intaha ki nazar hui…

Dhuwaan dhuaan kabi manzilain, dahekti aag se raastay,
Kabi manzilon ki talaash ne, muje raaston ne jalaa dia

Kabi sehraa sehraa see rah-guzar, kabi saya yad-e-yaar ka
Kabi gehray paani see zindgi or kachay gharay kaa aasraa…

Kabi ghupp andhaira hai chaar soo, k haath tak naa dikhaee day..
Kabi iss qadar hui roshni k aankh takk naa uthaa sakoon…

Kabi intaha meri chahtain, wo be-wafaaee ki intaha,
Kabi raat dinn rahun muntazir, kabi be-rukhi ki ho intaha…
Kabi hudd ho uske zulm ki , kabi aashqi ki main inteha,
Main dassi gei hun hazaar haa, meri aajzi ki ye intahaa….

Intaha meri zindagi, k ye intaha ki nazar hui…


Tum ne poocha hai mujh se Muhabbat kesi hoti hai?

Meray hum dum, !!

Mohabat tou badallti fitrat jesi hoti hai
Kabhi zidi see, kabhi seedhi see
Kabi allhar see, kabhi bholee see,

Kabhi masoom parinday see, fiza main urti phirti hy,
Kabhi zaalim darinday see, har khushi nigalti jati hai.
Kabhi maseeha hai,Kabhi qaatil see,
Kabbhi daana hy, kabhi paagal see,
Kabhi taiz hawa kabhi baadal see,

Kabhi aoss ban kar husan nikhara karti hai,
Kabhi maa’n ki trha har dard sameta krti hai.
Kabhi dushman see, kabhi saajan see,
Kabhi har mushkil ki suljhan see,
Kabhi khushyon main bhee uljhan see,

Kabhi ubhartay suraj see,
Kabhi ye dhalti shaam see hai.
Kabhi charchay iss ke shehar shehar
Kabhi dill main dabbi be-naam see hai,

Kabhi izzat paae kitaabon main,
Kabhi logon main bad’naam see hai.

Kabhi rasm-o-riwaaj k ghungru pehm kar raqs Dillon pe karti hai
Kabhi dil-o-dimagh k jhagray main be-mout hee maari jaati hai

Kea bataon or tumhain??? Muhabbat kesi hoti hai?
Mohabbat k hain roop hazaar…..!!!!
Kabi mubahhat saraab see hai,
Kabhi karwa such kabhi khawb see hai………..

Send Your CommentsSHAISTA NAZ
Designed & Hosted By
Send Your Comments
Join Us - Board of Governors - Advertisement - Suggestions - Contact Us - Feedback Us
http://www.GujarKhan2Day.com
____________________________________________________________________
Designed & Hosted By
www.Furqanraja.com || www.RawalGraphics.com